Muhtaram dosto !
ASSALAAM-O-ALAIKUM WA RAHMATULLAH WA BARAKAATUHU
Aaj ittifaaqan iss Naat par nazar paR gai keoNke maiN abhi mahfil maiN nau waarid hooN.Mujhay matla' pasand aayaa jis maiN iss haqeeqat ko waazih kiyaa geyaa hai ke Huzoor SALLALLAAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM nay "muzammam" kahnay waaloN ko bhi buraa bhalaa naheeN kahaa.Yeh shie'r daikhi'ey:
Yeh khaalis aap kaa lutf-o-karam thaa ! Rahay mahfooz mujrim bhi sazaa say !
Qaatileen-e-Hamza

aur sab say baRh kar apni baRi beTi Zainab

kay qaatil ko mu'aaf karnaa aap hi ki Shaan-e-Rahmat hai , isi tarah Taa'if kaa
waaqi'aa bhi.Raaqim-ul-huroof ki Naat kaa matla' hai:
Aap jaisaa yaa Nabi(SAWS) ! baa hausalaa koi naheeN Khaa kay patthar,dushmanoN ko de duaa, koi naheeN
Yeh Naat iss link par samaa'at farmaa saktay haiN:
http://www.archive.org/details/NaatAlbanyRadioNewYorkNaat maiN sar-e-maqta' shier maiN lafz "kaasay" kaa iste'maal shaair ki fanni mahaarat ki daleel hai aur maqta' bhi laajawaab hai. "A'saa" waalay shier kaa
fanni pahlu apni jagah lekin yeh bhi haqeeqat hai ke a'saa rakhnay ke baawajood Hazrat Moosa

,Fir'aun ke darbaar maiN khauf zada thay jis par
Irshaad-e-Baari Ta'aalaa huwaa "Laa takhaf,innaka antal aa'laa"(Surah No.20).Iss shier maiN shaa"ir nay du'aa ki ahamiyat bataa'i hai.Mukhtasar yeh keh
aa'maal kaa daar-o-madaar nee'yat par hotaa hai jaisa ke Huzoor

kaa irshaad-e-mubaarak hai.HamaiN iss silsilay maiN ae'tedaal ki raah ko apnaana
chaahi'ey.Raaqim-ul-huroof ki aik Hamd ke aik shier par bhi muhtaram Nadvi saheb mo'tariz hu'ey thay jis kaa jawaab iss link ko click kar ke daikhi'ey:
viewtopic.php?f=2&t=2681Aakhir maiN meri guzaarish hai ke Khudaara apnaa dil saaf rakkhaiN aur firqa bandi say ijtinaab karaiN WAMAA ALAINAA ILLAL BALAAGH